Hello dosto sabse pahle mai apko ye bta dena chahta hu ki aaj ka ye post hindi me nahi balki hinglish language me hai aisa maine isliye kiya ki mai khud ko aur apne visitors ko check kar saku ki kitne logo ko hindi language aur kitne logo ko hinglish language pasand hai jisse jab bhi mai koi post likhu tab in bato par dhyan rakhu.
On-Page SEO: Page ko Optimization kaise kare
On-Page optimization SEO ka hi ek part hai, SEO ka matlab hota hai ki ‘Search Engine Optimization’ matlab apne blog/website ko better search engine result page ke liye optimize karna. Yah optimization bhi do tariko se hota hai.
Ek hota hai On-Page SEO aur dusra hota hai Off Page SEO.
Aur aaj ke is post mein hm baat karenge On-Page ko kaise optimize kiya jata hai
Jab baat On-Page SEO ki ati hai to aap me se kafi log aise post padhe honge jisme apko bataya jata hai ki On-Page SEO kya hai ? lekin aaj ke is Post aap janege ki On-Page SEO ko Perfectly kaise optimize kiya jata hai.
On-Page SEO kya hai?
Jab aap blogger par apne blog ke liye koi achchha sa blog post likhte hai to us samay apko apne article me ‘Title, Heading, Blog Design, Permalink, Media, etc in sabhi ko optimize karna hota hai jise On-Page SEO kahte hai.
On-Page SEO kya hai janane ke baad ab baat ati hai ki ise better SEPR (Search Engine Page Result) ke liye kaise optimize karein.
1- Title Ke Shuru Me Keyword
Aap apne blog post me targeted keywords ka prayog karte hai yah achchhi baat hai kyonki Yah Google ka sabse important On-Page SEO Factor hai.
Lekin sath me is baat par khas dhyan chahiye ki apne main keyword ko title ke shuruat me rakhein.
Ho sakta hai aap apne blog post ka title direct apne targeted keyword se shuru nahi ke paa rakhe hai ya koi meaning hi nahi ban paa raha hai to bhi aap kosis karein ki apne targeted keyword ko post ke end me na likhana pade.
2- Loading Speed Kam Karein
Google is baat par bhi khas dhyan rakhta hai ki apke blog ki loading speed kitni hai. Matlab apke blog ko khulane me kitana samay lagta hai.
Aap apne blog ke loading speed ko kam karne ke liye high quality ke image ko compress kar skte hai. Aur yadi aap ne apne blog ko self hosting par rakha hai to fast speed hosting hi le.
Aur yadi aap Google Blogger ka prayog karte hai to hosting ki power ke barein me dekhne ki koi jarurat nahi hai kyonki blogger platform me apki site Google ke server par host hoti hai.
Aap kosis karein ki apki site kam se kam 4 second me open ho jaye aur dhyan de yadi apke site par traffic India se jada a rha hai to apko apne site ki Loading Speed ko kam karna hi hoga.
gtmetrix.com Is website ke prayog se aap apne site ki Loading Speed ko check kar sakte hai ki apki site kitane samay me open ho jata hai.
Blog पोस्ट को Publish करने से पहले रखें इन 10 बातों का ध्यान
3- SEO Friendly Permalink
Permalink banate samay aap dhyan rakhe ki permalink chhota ho aur keyword ke sath hi ho bekar dikhne wale link ka prayog na kare jo Automatic selected Hota hai. jaise:-
Ek baat par khas dhyan rakhe ki apne site ki URL ko jada bada na rakhe jaise
Permalink ke liye aisa kyo karte hai ?
Aisa isliye Kyonki Google hamesha post ke permalink me se shuru ke 3,4 word ko hi jada value deta hai. Jiska matlab ye hai ki hame apne URL me targeted keyword ko place karna chahiye.
4- Keyword ko shuru ke 100 word me hi rakhe
Aap apne blog ke article me shuru ke 100 word me hi targeted keyword ko place karein. Matlab aap apne blog post ke pahle paragraph me hi keyword ko likhe.
Keyword ko article ke 100-150 word ke bich rakhne par Google yah samjh jata hai apki post kis topic se related hai.
5- Content ko bada rakhe
Kai research me ye pata chala hai ki apka post jitna bada hoga wo utana hi Google par rank hoga jiske karan apka post Google ke first page par show hoga.
Yadi kisi ranked website se compitition karke usse pahle apne post ko rank karwana chahte hai to iske liye ye bahut jaruri hai ki apni post ko kam se kam 2000 word tak jarur likhe. Aur yadi aap isse bhi jada word me content ko likhte hai to ye aur bhi achchha hai.
Content jita long hoga ye SEO ke liye utna hi achchha hoga aur to aur aap isme aap targeted keyword ka use bhi kar sakte hai.
इसे भी देखें : All Blogger tutorial इसपर क्लिक करके आप Blogger से related सभी पोस्ट देख सकते है।
6- Social Sharing button ka prayog kare
Apke blog post ko padhne ke baad bahut jada chance ho jata hai ki visitors apke post ko Social Media Platform par share kare.
Aur iske liye apko apne blog par Social Sharing button ko lagana hoga jisse visitors apke post ko padhne ke baad social media platforms par share kar sake.
Aur yadi aap apne blog par social sharing button add nahi karte hai to apke blog se aise kafi visitors kam ho jaenge jo apke blog post ko social media platform par share karna chahte hai.
10+ ऐसे Blog Mistake जो भूल कर भी न करें
Yadi apke blog par social sharing button nahi hai to visitors apke blog post ko social media platforms par share karne ke liye apke us post ke URL ko copy karta hai aur jis platform par share karna hai wha paste karke share kar sakta hai lekin is tarh se share karne me visitors ko kafi samay lagata hai aur to aur aise karne me bahut uban bhi lagta hai.
Isliye is baat ka khas dhyan rakhe ki aap apne blog par Social Sharing button jarur lagye jisse apke visitors apke kisi post ko Social Media Platform par share kar sake.
7- Internal Links Lagaye
Internal link ka matlab hota hai ki apke blog ke purane published post ka link aap apne new post me add kare. Lekin ek baat ka dhyan rakhe ki aap new post me usi purane post ka link add kare jo apke new post se related ho.
Mera manana ki new post me kam se kam 3-5 purane post le link ko add kare. Internal link lagane se kai fayde hai ye SEO ke liye achchha hota hai aur isse apke blog ki bounce rate bhi kam hoti hai kyonki visitors ko aap kewal ek post nahi balki link ke dvara unhe kai post de rhe hai jise padhne ke liye wo jada time tak apke blog par rahenge.
8- H2 aur H3 Me Keyword Ka Prayog kare
Aap apne blog post me H2 aur H3 ko subheading dene ke liye use karte honge aur yadi nahi karte hai to iska prayog jarur kare kyonki isme keyword likhane se On-Page SEO Optimization ko aur bhi strong karega. Aur to aur ye apke blog post ko aur bhi user friendly banata hai.
9- Image Optimization
Image Optimization blog ke SEO ke liye bahut mahatwapurn hai ise ham do topic me samjhne ki kosis karenge.
#1– Image Name
Aap blog post me jis image ka upyog karte hai us image ka name bhi whi de jo apke post ka targeted keyword hai.
#2- Alt Tag
Yadi aap Google Blogger platform ka prayog karte hai to iske post editor me image alt tag add karne ka option hota hai isme bhi post ke targeted keyword ko place kare.
Iske liye aap blogger me sign in kare ab Blogger Dashboard khul jaega fir New Post editor open kare post ke title ko copy kare fir post me ek image upload kare aur image par click kare niche properties ka option hoga uspar click kare aur copy kiye gaye title ko dono me paste kar de bas ho gya.
10- Multimedia ka prayog kare
Blog post ko kewal text se hi banana kafi nahi hai apki kosis honi chahiye ki us post me video aur image bhi ho.
Video aur Image ka upyog karne se visitors apke blog par kuchh der rukenge jisse apke site ki bounce raye kam hogi.
Aap apne content me attractive video aur image add kare isse hoga ye ki apke blog ki bounce rate kam hogi matlab user apke post ko close kar dete hai iske chances kam ho jaenge jo ki Google SEO le liye bahut achchha hai.
Yadi koi visitor Google se search karke apke content ko open karta hai aur turant close karke chala jata hai to ye apke blog ki Search Engine Ranking ke liye negative effect dalta hai isliye hamari kosis honi chahiye ki aap apne visitors ko blog post par rok ke rakhe.
11- Apne Post ke Title Me Modifiers add kare
Modifiers jaise “Top”, “Famous”, “Best”, “Complete Guide”, “Full Tutorial”, “Helpful” etc ko apne blog post le title add kare isse aap apne blog ke post ko aur bhi attractive bana sakte hai.
Iske liye mai apko ek example deta hu jaise apko “Facebook Tips and Tricks” par ek post likhna hai to iska title aisa rakh sakte hai-
#1- Top 10 Facebook Tips and Tricks
#2- 10 Famous Facebook Tips and Tricks
#3- Best Facebook Tips and Tricks
#4- Complete Tutorial of Facebook Tips and Tricks
Aisa karne se agar aap apne blog ke post ko Social media Platforms jaise Facebook, Facebook page in par share karte hai to wha se jada traffic ane ka chance ho badh jata hai.
Apne kya sikha? Conclusion
Aaj ke is tutorial me apne jana ki On-Page SEO kya hai? Aur sath hi jana ki On-Page SEO: Page ko optimize kaise kiya jata hai?
In sabhi ko dhyan me rakh kar maine ye post 11 topic ke jariye samjhane ki kosis kiya aur mujhe pura ummid hai ki ye post apke liye upyogi sabit hoga aur apko achchha lga hoga.
Aur sath hi mai ye bhi kahna chahta hi ki yadi apko tech se related koi bhi question puchhna hai to mujhe comment kare.